khud ko aise tabaah kar lenge
ishq aur fir niqaah kar lenge
aaj mauka mila hai to lad le
phir kisi din salaah kar lenge
sirf teri khushi ki khaatir ham
khud pe bhi ishtibaah kar lenge
chhod kar tum hamein nahi jaana
warna kamre siyaah kar lenge
zikr yaari mein ishq ka jo kiya
koocha-e-dil razm-gaah kar lenge
qasr-e-aalishaan chhod aaye tira
ham kahi bhi panaah kar lenge
kya zaroorat hai chaara-gar ki hamein
dard jab ho to aah kar lenge
vasl ka to mujhe pata hi nahin
hijr ham be-panaah kar lenge
shayari maut ki hui jis din
ja ke ham waah-waah kar lenge
ख़ुद को ऐसे तबाह कर लेंगे
इश्क़ और फ़िर निक़ाह कर लेंगे
आज मौका मिला है तो, लड़ ले
फिर किसी दिन सलाह कर लेंगे
सिर्फ़ तेरी खुशी की ख़ातिर हम
ख़ुद पे भी इश्तिबाह कर लेंगे
छोड़ कर तुम हमें नही जाना
वर्ना कमरें सियाह कर लेंगे
ज़िक्र यारी में इश्क़ का जो किया
कूचा-ए-दिल रज़्म-गाह कर लेंगे
क़स्र-ए-आलीशाँ छोड़ आये तिरा
हम कहीं भी पनाह कर लेंगे
क्या ज़रूरत है चारा-गर की हमें
दर्द जब हो तो आह कर लेंगे
वस्ल का तो मुझे पता ही नहीं
हिज्र हम बे-पनाह कर लेंगे
शायरी मौत की हुई जिस दिन
जा के हम वाह-वाह कर लेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nilesh Barai
our suggestion based on Nilesh Barai
As you were reading Jashn Shayari Shayari