jis dil ke andheron mein ujaala nahin gaya | जिस दिल के अँधेरों में उजाला नहीं गया

  - Nityanand Vajpayee

jis dil ke andheron mein ujaala nahin gaya
us se to mera pyaar sambhaala nahin gaya

dhoya to kai baar masal kar ke khoob par
aankhon se tere chehre ka jaalaa nahin gaya

qoshish to bahut ki ki nikaaloon main kheench khaanch
par dil se tera pyaar nikala nahin gaya

tune to mujhe gift mein badnaamiyaan hi deen
par mujhse tera naam uchhaala nahin gaya

saaqi tu raha jaane rijhaata kise kise
is jaam mein to boond bhi daala nahin gaya

जिस दिल के अँधेरों में उजाला नहीं गया
उस से तो मेरा प्यार सँभाला नहीं गया

धोया तो कई बार मसल कर के ख़ूब पर
आँखों से तेरे चेहरे का जाला नहीं गया

क़ोशिश तो बहुत की कि निकालूँ मैं खींच खाँच
पर दिल से तेरा प्यार निकाला नहीं गया

तूने तो मुझे गिफ़्ट में बदनामियाँ ही दीं
पर मुझसे तेरा नाम उछाला नहीं गया

साक़ी तू रहा जाने रिझाता किसे किसे
इस जाम में तो बूँद भी डाला नहीं गया

  - Nityanand Vajpayee

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nityanand Vajpayee

As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee

Similar Writers

our suggestion based on Nityanand Vajpayee

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari