veeraan saraaye ka diya hai
jo kaun-o-makaan mein jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aaine mein chehra rakh gaya hai
khurshid misaal shakhs kal shaam
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gaye hausla tumhaara
zinda hoon main ye mera hausla hai
andar bhi is zameen ke raushni ho
mitti mein charaagh rakh diya hai
main kaun sa khwaab dekhta hoon
ye kaun se mulk ki fazaa hai
vo kaun sa haath hai ki jis ne
mujh aag ko khaak se likha hai
rakha tha khala mein paanv main ne
raaste mein sitaara aa gaya hai
shaayad ki khuda mein aur mujh mein
ik jast ka aur fasla hai
gardish mein hain kitni kaainaatein
baccha mera paanv chal raha hai
वीरान सराए का दिया है
जो कौन-ओ-मकाँ में जल रहा है
ये कैसी बिछड़ने की सज़ा है
आईने में चेहरा रख गया है
ख़ुर्शीद मिसाल शख़्स कल शाम
मिट्टी के सुपुर्द कर दिया है
तुम मर गए हौसला तुम्हारा
ज़िंदा हूँ मैं ये मेरा हौसला है
अंदर भी इस ज़मीं के रौशनी हो
मिट्टी में चराग़ रख दिया है
मैं कौन सा ख़्वाब देखता हूँ
ये कौन से मुल्क की फ़ज़ा है
वो कौन सा हाथ है कि जिस ने
मुझ आग को ख़ाक से लिखा है
रक्खा था ख़ला में पाँव मैं ने
रस्ते में सितारा आ गया है
शायद कि ख़ुदा में और मुझ में
इक जस्त का और फ़ासला है
गर्दिश में हैं कितनी काएनातें
बच्चा मिरा पाँव चल रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Aanch Shayari Shayari