vo baar-e-farz-e-takalluf mujhi ko dhona pada
use rulaane ki khaatir mujhe bhi rona pada
vo ek husn tha jis ki thi sirf khwaab mein bood
use jagaane ki chaahat mein mujh ko sona pada
main dekhta hoon ye chheente lagen ge kis ke haath
mujhe jo aaj udaasi se haath dhona pada
ye kya hua ki tiri dhun mein jin se bichhde the
unhin ke saamne tujh se bichhad ke rona pada
main apni marzi se is duniya mein hua kab tha
maani ye hain ki mujh ko jahaan mein hona pada
वो बार-ए-फ़र्ज़-ए-तकल्लुफ मुझी को धोना पड़ा
उसे रुलाने कि ख़ातिर मुझे भी रोना पड़ा
वो एक हुस्न था जिस की थी सिर्फ़ ख़्वाब में बूद
उसे जगाने की चाहत में मुझ को सोना पड़ा
मैं देखता हूँ ये छींटे लगें गे किस के हाथ
मुझे जो आज उदासी से हाथ धोना पड़ा
ये क्या हुआ कि तिरी धुन में जिन से बिछड़े थे
उन्हीं के सामने तुझ से बिछड़ के रोना पड़ा
मैं अपनी मर्ज़ी से इस दुनिया में हुआ कब था
मआनी ये हैं कि मुझ को जहाँ में होना पड़ा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pallav Mishra
our suggestion based on Pallav Mishra
As you were reading Hijr Shayari Shayari