kya kare meri masihaai bhi karne waala
zakham hi ye mujhe lagta nahin bharne waala
zindagi se kisi samjhaute ke baa-wasf ab tak
yaad aata hai koi maarnay marne waala
us ko bhi ham tire kooche mein guzaar aaye hain
zindagi mein vo jo lamha tha sanwarne waala
us ka andaaz-e-sukhan sab se juda tha shaayad
baat lagti hui lahja vo mukarne waala
shaam hone ko hai aur aankh mein ik khwaab nahin
koi is ghar mein nahin raushni karne waala
dastaras mein hain anaasir ke iraade kis ke
so bikhar ke hi raha koi bikharna waala
isee ummeed pe har shaam bujaaye hain charaagh
ek taara hai sar-e-baam ubharne waala
क्या करे मेरी मसीहाई भी करने वाला
ज़ख़्म ही ये मुझे लगता नहीं भरने वाला
ज़िंदगी से किसी समझौते के बा-वस्फ़ अब तक
याद आता है कोई मारने मरने वाला
उस को भी हम तिरे कूचे में गुज़ार आए हैं
ज़िंदगी में वो जो लम्हा था सँवरने वाला
उस का अंदाज़-ए-सुख़न सब से जुदा था शायद
बात लगती हुई लहजा वो मुकरने वाला
शाम होने को है और आँख में इक ख़्वाब नहीं
कोई इस घर में नहीं रौशनी करने वाला
दस्तरस में हैं अनासिर के इरादे किस के
सो बिखर के ही रहा कोई बिखरने वाला
इसी उम्मीद पे हर शाम बुझाए हैं चराग़
एक तारा है सर-ए-बाम उभरने वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Irada Shayari Shayari