dil-aazaari bhi ik fan hai
aur kuchh log to
saari zindagi isee ki roti khaate hain
chahe un ka burj koi ho
aqrab hi lagte hain
teesre darje ke peele akhbaaron par ye
apni yarkaani sochon se
aur bhi zardee malte rahte hain
maala baari cabin hon ya paanch sitaara hotel
kahi bhi qay karne se baaz nahin aate
oopar se is amal ko
fikre-baazi kahte hain
jis ka pehla nishaana umooman
bill ko ada karne waala saathi hota hai
apne apne kunven ko bahr-e-aazam kehne aur samajhne waale
ye nanhe mendak
har haathi ko dekh ke phoolne lage hain
aur jab fatne waale hon to
haathi ki aankhon par fabti kasne lage hain
kawwe bhi ande khaane ke shauq ko apne
faakhta ke ghar ja kar poora karte hain
lekin ye vo saanp hain jo ki
apne bacche
khud hi chat kar jaate hain
kabhi kabhi main sochti hoon ki
saanpon ki ye khaslat
maalik-e-jinn-o-ins ki insaano ke haq mein
kaisi be-paayaan rahmat hai
दिल-आज़ारी भी इक फ़न है
और कुछ लोग तो
सारी ज़िंदगी इसी की रोटी खाते हैं
चाहे उन का बुर्ज कोई हो
अक़रब ही लगते हैं
तीसरे दर्जे के पीले अख़बारों पर ये
अपनी यर्क़ानी सोचों से
और भी ज़र्दी मलते रहते हैं
माला बारी केबिन हों या पाँच सितारा होटल
कहीं भी क़य करने से बाज़ नहीं आते
ऊपर से इस अमल को
फ़िक़रे-बाज़ी कहते हैं
जिस का पहला निशाना उमूमन
बिल को अदा करने वाला साथी होता है!
अपने अपने कुँवें को बहर-ए-आज़म कहने और समझने वाले
ये नन्हे मेंडक
हर हाथी को देख के फूलने लगे हैं
और जब फटने वाले हों तो
हाथी की आँखों पर फबती कसने लगे हैं
कव्वे भी अंडे खाने के शौक़ को अपने
फ़ाख़्ता के घर जा कर पूरा करते हैं
लेकिन ये वो साँप हैं जो कि
अपने बच्चे
ख़ुद ही चट कर जाते हैं
कभी कभी मैं सोचती हूँ कि
साँपों की ये ख़सलत
मालिक-ए-जिंन-ओ-इन्स की, इंसानों के हक़ में
कैसी बे-पायाँ रहमत है!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Friendship Shayari Shayari