musaahib-e-shaah se kaho ki | मुसाहिब-ए-शाह से कहो कि

  - Parveen Shakir

musaahib-e-shaah se kaho ki
faqeeh-e-aazam bhi aaj tasdeeq kar gaye hain
ki fasl phir se gunaahgaaron ki pak gai hai
huzoor ki jumbish-e-nazar ke
tamaam jallaad muntazir hain
ki kaun si had janab jaari karein
to taameel-e-bandagi ho
kahaan pe sar aur kahaan pe dastaar utaarna ahsan-ul-amal hai
kahaan pe haathon kahaan zabaanon ko qat'a kijie
kahaan pe darwaaza rizq ka band karna hoga
kahaan pe aasaishon ki bhookhon ko maar deeje
kahaan bathegi luaan ki chhoot
aur kahaan par
rajm ke ahkaam jaari honge
kahaan pe nau saala bacchiyan chahal saala mardon ke saath
sangeen mein pirone ka hukm hoga
kahaan pe iqbaali mulzimon ko
kisi tarah shak ka faaeda ho

kahaan pe maasoom daar par kheenchana padega
huzoor ahkaam jo bhi jaari karenge
faqat iltijaa ye hogi
ki apne irshaad-e-aaliya ko
zabaani rakhen
wagarana
kaanooni uljhane hain

मुसाहिब-ए-शाह से कहो कि
फ़क़ीह-ए-आज़म भी आज तस्दीक़ कर गए हैं
कि फ़स्ल फिर से गुनाहगारों की पक गई है
हुज़ूर की जुम्बिश-ए-नज़र के
तमाम जल्लाद मुंतज़िर हैं
कि कौन सी हद जनाब जारी करें
तो तामील-ए-बंदगी हो
कहाँ पे सर और कहाँ पे दस्तार उतारना अहसन-उल-अमल है
कहाँ पे हाथों कहाँ ज़बानों को क़त्अ कीजिए
कहाँ पे दरवाज़ा रिज़्क़ का बंद करना होगा
कहाँ पे आसाइशों की भूखों को मार दीजे
कहाँ बटेगी लुआन की छूट
और कहाँ पर
रज्म के अहकाम जारी होंगे
कहाँ पे नौ साला बच्चियां चहल साला मर्दों के साथ
संगीन में पिरोने का हुक्म होगा
कहाँ पे इक़बाली मुलज़िमों को
किसी तरह शक का फ़ाएदा हो

कहाँ पे मासूम दार पर खींचना पड़ेगा
हुज़ूर अहकाम जो भी जारी करेंगे
फ़क़त इल्तिजा ये होगी
कि अपने इरशाद-ए-आलिया को
ज़बानी रखें
वगरना
कानूनी उलझनें हैं!

  - Parveen Shakir

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari