so ab ye shart-e-hayaat thehri | सो अब ये शर्त-ए-हयात ठहरी

  - Parveen Shakir

so ab ye shart-e-hayaat thehri
ki shehar ke sab najeeb afraad
apne apne lahu ki hurmat se munharif ho ke jeena seekhen
vo sab aqeede ki in gharaanon mein
un ki aankhon ke rangaton ki tarah tasalsul se chal rahe the
suna hai baatil qaraar paaye
vo sab wafaadaariyaan ki jin par lahu ke wa'de half hue the
vo aaj se maslahat ki ghadiyan shumaar hongi
badan ki vaabastagi ka kya zikr
rooh ke ahad-name tak faskh maane jaayen
khimoshi-o-maslahat-pasandi mein khairiyat hai
magar mere sheher-e-munharif mein
abhi kuchh aise ghayyoor-o-saadik b-qaid-e-jaan hain
ki harf-e-inkaar jin ki qismat nahin bana hai
so haakim-e-shahr jab bhi apne ghulaam-zaade
unhen girftaar karne bheje
to saath mein ek ek ka shajra-e-nasb bhi ravana karna
aur un ke hamraah sard patthar mein chunne dena
ki aaj se jab
hazaar-ha saal ba'ad ham bhi
kisi zamaane ke texlaya harappa ban kar talashe jaayen
to us zamaane ke log
ham ko
kahi bahut kam-nasab na jaanen

सो अब ये शर्त-ए-हयात ठहरी
कि शहर के सब नजीब अफ़राद
अपने अपने लहू की हुरमत से मुन्हरिफ़ हो के जीना सीखें
वो सब अक़ीदे कि इन घरानों में
उन की आँखों के रंगतों की तरह तसलसुल से चल रहे थे
सुना है बातिल क़रार पाए
वो सब वफ़ादारियाँ कि जिन पर लहू के वा'दे हलफ़ हुए थे
वो आज से मस्लहत की घड़ियाँ शुमार होंगी
बदन की वाबस्तगी का क्या ज़िक्र
रूह के अहद-नामे तक फ़स्ख़ माने जाएँ
ख़मोशी-ओ-मस्लहत-पसंदी में ख़ैरियत है
मगर मिरे शहर-ए-मुन्हरिफ़ में
अभी कुछ ऐसे ग़य्यूर-ओ-सादिक़ ब-क़ैद-ए-जाँ हैं
कि हर्फ़-ए-इंकार जिन की क़िस्मत नहीं बना है
सो हाकिम-ए-शहर जब भी अपने ग़ुलाम-ज़ादे
उन्हें गिरफ़्तार करने भेजे
तो साथ में एक एक का शजरा-ए-नस्ब भी रवाना करना
और उन के हमराह सर्द पत्थर में चुनने देना
कि आज से जब
हज़ार-हा साल बा'द हम भी
किसी ज़माने के टेक्सलाया हड़प्पा बन कर तलाशे जाएँ
तो उस ज़माने के लोग
हम को
कहीं बहुत कम-नसब न जानें

  - Parveen Shakir

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari