dekho to sirf haal faqeeron ka dekhna
kis ne kaha mizaaj ameeron ka dekhna
saahil pade hain thaame hue koi aaina
dariya mein door aks jazeeron ka dekhna
kab ye ufuq ko kaun se paikar mein dhaal de
halchal sa baadlon ki lakeeron ka dekhna
jaise barhana shaakh liye kah rahe hain kuchh
manzar khizaan ki rut mein asiroon ka dekhna
kuchh muddaon mein maana iraade jawaan sahi
kuchh baat mein khayal bhi peeron ka dekhna
kam hai girift kis ki kamaan pe khayal rakh
taaka hua nishaan na teeron ka dekhna
vo qafile ameer ke parvez ik taraf
kuchh rahbaro'n mein josh nazeeron ka dekhna
देखो तो सिर्फ़ हाल फ़क़ीरों का देखना
किस ने कहा मिज़ाज अमीरों का देखना
साहिल पड़े हैं थामे हुए कोई आइना
दरिया में दूर अक्स जज़ीरों का देखना
कब ये उफ़ुक़ को कौन से पैकर में ढाल दे
हलचल सा बादलों की लकीरों का देखना
जैसे बरहना शाख़ लिए कह रहे हैं कुछ
मंज़र ख़िज़ाँ की रुत में असीरों का देखना
कुछ मुद्दओं में माना इरादे जवाँ सही
कुछ बात में ख़याल भी पीरों का देखना
कम है गिरफ़्त किस की कमाँ पे ख़याल रख
ताका हुआ निशान न तीरों का देखना
वो क़ाफ़िले अमीर के 'परवेज़' इक तरफ़
कुछ रहबरों में जोश नज़ीरों का देखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Waris
our suggestion based on Parvez Waris
As you were reading Masti Shayari Shayari