jaise naye zamaane ki raftaar gir padi
aise purane waqt ki deewaar gir padi
uth uth ke aa to pahunchee hain lahren idhar magar
kya cheez jaane dariya ke us paar gir padi
is baar kya giri hai ki kohraam mach gaya
pagdi to is se pehle kai baar gir padi
lafzon ko ham ne tol ke rakha tha hont par
phir kyun bahs mein baat wazn daar gir padi
bazaar mein to fan ke khareedaar ab bhi hain
kis ne kaha ki qeemat-e-fankaar gir padi
din tha thakan se choor ufuq pe nidhaal saal
suraj ke saath shaam bhi laachaar gir padi
dekha mukhaalifon mein jo shaamil rafeeq ko
parvez apne haath se talwaar gir padi
जैसे नए ज़माने की रफ़्तार गिर पड़ी
ऐसे पुराने वक़्त की दीवार गिर पड़ी
उठ उठ के आ तो पहुँची हैं लहरें इधर मगर
क्या चीज़ जाने दरिया के उस पार गिर पड़ी
इस बार क्या गिरी है कि कोहराम मच गया
पगड़ी तो इस से पहले कई बार गिर पड़ी
लफ़्ज़ों को हम ने तोल के रक्खा था होंट पर
फिर क्यूँ बहस में बात वज़न दार गिर पड़ी
बाज़ार में तो फ़न के ख़रीदार अब भी हैं
किस ने कहा कि क़ीमत-ए-फ़नकार गिर पड़ी
दिन था थकन से चूर उफ़ुक़ पे निढाल साल
सूरज के साथ शाम भी लाचार गिर पड़ी
देखा मुख़ालिफ़ों में जो शामिल रफ़ीक़ को
'परवेज़' अपने हाथ से तलवार गिर पड़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Waris
our suggestion based on Parvez Waris
As you were reading Bebas Shayari Shayari