khud ban gai hai baat banaane mein main na tha | ख़ुद बन गई है बात बनाने में मैं न था

  - Parvez Waris

khud ban gai hai baat banaane mein main na tha
is waqie ke koi fasaane mein main na tha

manzar ko saath le gai suraj ki raushni
din ke haseen rang mitaane mein main na tha

jaise ufuq pe kheench de koi lakeer si
is tarah se parinde udaane mein main na tha

kuchh doston ke haath bhi malboos is mein the
tanhaa faqat futuur jagaane mein main na tha

honton pe seedhe saade jo aaye the kah diye
lafzon ke talkh teer chalaane mein main na tha

qurbat zara si badhte hi vo to simat gaya
warna fuzool chhupne chhupaane mein main na tha

soona sa rasta dhoop shajar door ik sada
tasveer aisi koi dikhaane mein main na tha

dariya ki aati jaati si lahren taka karoon
saahil pe aisi chaap bichaane mein main na tha

parvez aur baat ki hushiyaar hoon bahut
jaadu magar kisi pe chalaane mein main na tha

ख़ुद बन गई है बात बनाने में मैं न था
इस वाक़िए के कोई फ़साने में मैं न था

मंज़र को साथ ले गई सूरज की रौशनी
दिन के हसीन रंग मिटाने में मैं न था

जैसे उफ़ुक़ पे खींच दे कोई लकीर सी
इस तरह से परिंदे उड़ाने में मैं न था

कुछ दोस्तों के हाथ भी मल्बूस इस में थे
तन्हा फ़क़त फ़ुतूर जगाने में मैं न था

होंटों पे सीधे सादे जो आए थे कह दिए
लफ़्ज़ों के तल्ख़ तीर चलाने में मैं न था

क़ुर्बत ज़रा सी बढ़ते ही वो तो सिमट गया
वर्ना फ़ुज़ूल छुपने छुपाने में मैं न था

सूना सा रस्ता धूप शजर दूर इक सदा
तस्वीर ऐसी कोई दिखाने में मैं न था

दरिया की आती जाती सी लहरें तका करूँ
साहिल पे ऐसी छाप बिछाने में मैं न था

'परवेज़' और बात कि हुशियार हूँ बहुत
जादू मगर किसी पे चलाने में मैं न था

  - Parvez Waris

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Waris

As you were reading Shayari by Parvez Waris

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Waris

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari