aandhi chali jo ret ki saara badal gaya
sehra ka ek pal mein nazaara badal gaya
phir se udhar na jaane ki taakeed dil ne ki
par kya karein mizaaj dobara badal gaya
thodi si faisley ki mayassar ho mohlaten
samjhen to is se pehle ishaara badal gaya
tha rang dhoop ka to barabar khila hua
baadal magar naseeb ka maara badal gaya
lab band the to baat thi koi bandhi hui
khulte hi jo bharam tha hamaara badal gaya
ab to jahaan bhi dekho hai daldal ka saamna
jis ka kinaara samjhe kinaara badal gaya
parvez aasmaan ka manzar to saaf tha
daaman ghatta ne jaise pasaara badal gaya
आँधी चली जो रेत की सारा बदल गया
सहरा का एक पल में नज़ारा बदल गया
फिर से उधर न जाने की ताकीद दिल ने की
पर क्या करें मिज़ाज दोबारा बदल गया
थोड़ी सी फ़ैसले की मयस्सर हो मोहलतें
समझें तो इस से पहले इशारा बदल गया
था रंग धूप का तो बराबर खिला हुआ
बादल मगर नसीब का मारा बदल गया
लब बंद थे तो बात थी कोई बंधी हुई
खुलते ही जो भरम था हमारा बदल गया
अब तो जहाँ भी देखो है दलदल का सामना
जिस का किनारा समझे किनारा बदल गया
'परवेज़' आसमान का मंज़र तो साफ़ था
दामन घटा ने जैसे पसारा बदल गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Waris
our suggestion based on Parvez Waris
As you were reading Child labour Shayari Shayari