habeeb-e-maah-e-kanaani ke sadqe | हबीब-ए-माह-ए-कनआनी के सदक़े

  - Qais Kakorvi

habeeb-e-maah-e-kanaani ke sadqe
main apne yusuf-e-saani ke sadqe

jabeen meri tarah daagh-e-ghulaami
main is naqsh-e-sulaimaani ke sadqe

hai aaina tiri soorat pe hairaan
main aaine ki hairaani ke sadqe

saraapa bandagi hai kibriyaai
main is takmeel-e-insaani ke sadqe

हबीब-ए-माह-ए-कनआनी के सदक़े
मैं अपने यूसुफ़-ए-सानी के सदक़े

जबीं मेरी तरह दाग़-ए-ग़ुलामी
मैं इस नक़्श-ए-सुलैमानी के सदक़े

है आईना तिरी सूरत पे हैराँ
मैं आईने की हैरानी के सदक़े

सरापा बंदगी है किबरियाई
मैं इस तकमील-ए-इंसानी के सदक़े

  - Qais Kakorvi

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Qais Kakorvi

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari