dil ki soorat tire seene mein dhadakta hoon main | दिल की सूरत तिरे सीने में धड़कता हूँ मैं

  - Qais Rampuri

dil ki soorat tire seene mein dhadakta hoon main
haan b-zaahir tire haathon ka khilauna hoon main

ab jahaan chaand lab-e-baam ubharta hi nahin
jaane kyun phir unhin galiyon se guzarta hoon main

kitna naadaan tha main doob gaya jal bhi gaya
vo bahut kehta raha aag ka dariya hoon main

aarzoo thi ki gulaabon ke dilon mein rehta
ye saza paai ki kaanton ka bichhauna hoon main

mere paas aa ke koi tishna-labi bhool gaya
main to samjha tha ki tapta hua sehra hoon main

दिल की सूरत तिरे सीने में धड़कता हूँ मैं
हाँ ब-ज़ाहिर तिरे हाथों का खिलौना हूँ मैं

अब जहाँ चाँद लब-ए-बाम उभरता ही नहीं
जाने क्यूँ फिर उन्हीं गलियों से गुज़रता हूँ मैं

कितना नादान था मैं डूब गया जल भी गया
वो बहुत कहता रहा आग का दरिया हूँ मैं

आरज़ू थी कि गुलाबों के दिलों में रहता
ये सज़ा पाई कि काँटों का बिछौना हूँ मैं

मेरे पास आ के कोई तिश्ना-लबी भूल गया
मैं तो समझा था कि तपता हुआ सहरा हूँ मैं

  - Qais Rampuri

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qais Rampuri

As you were reading Shayari by Qais Rampuri

Similar Writers

our suggestion based on Qais Rampuri

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari