yaad us ki hai aur chaandni hai | याद उस की है और चाँदनी है

  - Qais Rampuri

yaad us ki hai aur chaandni hai
raat ik haadisa ban gai hai

ye meri shaan-e-baada-kashi hai
us nazar ne pilaai to pee hai

tere gham ne meri zindagi ko
lazzat-e-zindagi bakhsh di hai

chup bhi ho jaao ai lutne waalo
rahnumaaon pe baat aa gai hai

ye tiri hajw-e-baada hi zaahid
wajh-e-baada-kashi ban gai hai

aql kya rahbari kar sakegi
jo hamesha bhatkati firee hai

kitne maathon pe bal pad gaye hain
baat haq ki jahaan main ne ki hai

याद उस की है और चाँदनी है
रात इक हादिसा बन गई है

ये मिरी शान-ए-बादा-कशी है
उस नज़र ने पिलाई तो पी है

तेरे ग़म ने मिरी ज़िंदगी को
लज़्ज़त-ए-ज़िंदगी बख़्श दी है

चुप भी हो जाओ ऐ लुटने वालो
रहनुमाओं पे बात आ गई है

ये तिरी हज्व-ए-बादा ही ज़ाहिद
वज्ह-ए-बादा-कशी बन गई है

अक़्ल क्या रहबरी कर सकेगी
जो हमेशा भटकती फिरी है

कितने माथों पे बल पड़ गए हैं
बात हक़ की जहाँ मैं ने की है

  - Qais Rampuri

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qais Rampuri

As you were reading Shayari by Qais Rampuri

Similar Writers

our suggestion based on Qais Rampuri

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari