jab tiri yaadon ki purvaai ghazal gaati hai
phool khil uthte hain tanhaai ghazal gaati hai
raqs karti hui aati hai tire jism ki yaad
teri tooti hui angadaai ghazal gaati hai
gudgudaati hai tasavvur ko tire roop ki dhoop
mere jazbaat ki shehnai ghazal gaati hai
ek muddat hui is raah se guzra tha koi
aaj tak dil ki ye anganaai ghazal gaati hai
nagme sargoshi ke lehraate hain panghat panghat
tohmaten hansati hain ruswaai ghazal gaati hai
jhoom jhoom uthata hai saaqi tire qaisar ka khayal
jab tiri aankhon ki gehraai ghazal gaati hai
जब तिरी यादों की पुर्वाई ग़ज़ल गाती है
फूल खिल उठते हैं तन्हाई ग़ज़ल गाती है
रक़्स करती हुई आती है तिरे जिस्म की याद
तेरी टूटी हुई अंगड़ाई ग़ज़ल गाती है
गुदगुदाती है तसव्वुर को तिरे रूप की धूप
मेरे जज़्बात की शहनाई ग़ज़ल गाती है
एक मुद्दत हुई इस राह से गुज़रा था कोई
आज तक दिल की ये अँगनाई ग़ज़ल गाती है
नग़्मे सरगोशी के लहराते हैं पनघट पनघट
तोहमतें हँसती हैं रुस्वाई ग़ज़ल गाती है
झूम झूम उठता है साक़ी तिरे 'क़ैसर' का ख़याल
जब तिरी आँखों की गहराई ग़ज़ल गाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi
our suggestion based on Qaisar Siddiqi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari