jab bhi mujh ko apna bachpan yaad aata hai
bachpan ke ik pyaar ka bachpan yaad aata hai
dekh ke is munh-zor jawaani ki munh-zori
mujh ko is ka totla bachpan yaad aata hai
aurat maa thi behn thi daadi thi naani thi
kore kaaghaz jaisa bachpan yaad aata hai
toofaani baarish ghar mein sailaab ka aalam
thanda choolha bhooka bachpan yaad aata hai
tanhaai ka dukh to kam ho kisi bahaane
dekhen kis ka kis ka bachpan yaad aata hai
shahad ke jaisi meethi boli yaad aati hai
doodh ke jaisa ujla bachpan yaad aata hai
bachpan ke yaaron se milta rehta hoon main
qaisar mujh ko sab ka bachpan yaad aata hai
जब भी मुझ को अपना बचपन याद आता है
बचपन के इक प्यार का बचपन याद आता है
देख के इस मुँह-ज़ोर जवानी की मुँह-ज़ोरी
मुझ को इस का तोतला बचपन याद आता है
औरत माँ थी बहन थी दादी थी नानी थी
कोरे काग़ज़ जैसा बचपन याद आता है
तूफ़ानी बारिश घर में सैलाब का आलम
ठंडा चूल्हा भूका बचपन याद आता है
तन्हाई का दुख तो कम हो किसी बहाने
देखें किस का किस का बचपन याद आता है
शहद के जैसी मीठी बोली याद आती है
दूध के जैसा उजला बचपन याद आता है
बचपन के यारों से मिलता रहता हूँ मैं
'क़ैसर' मुझ को सब का बचपन याद आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi
our suggestion based on Qaisar Siddiqi
As you were reading Alone Shayari Shayari