man bhi sha'ir ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai
ye tire roop ka darpan bhi ghazal jaisa hai
reshmi choodiyaan aisi ki ghazal ke misre
ye khanakta hua kangan bhi ghazal jaisa hai
in lachakti hui zulfon mein hai gokul ka samaan
ye mahakta hua saawan bhi ghazal jaisa hai
log-geeton ki tarah tu bhi raseeli hai magar
meri sajni tira saajan bhi ghazal jaisa hai
mere jazbaat ki shokhi bhi ghazal jaisi hai
mere ehsaas ka bachpan bhi ghazal jaisa hai
dekh kar tujh ko ghazal kaise na likkhe qaisar
tu ghazal jaisi hai youvan bhi ghazal jaisa hai
मन भी शाइ'र की तरह तन भी ग़ज़ल जैसा है
ये तिरे रूप का दर्पन भी ग़ज़ल जैसा है
रेशमी चूड़ियाँ ऐसी कि ग़ज़ल के मिसरे
ये खनकता हुआ कंगन भी ग़ज़ल जैसा है
इन लचकती हुई ज़ुल्फ़ों में है गोकुल का समाँ
ये महकता हुआ सावन भी ग़ज़ल जैसा है
लोग-गीतों की तरह तू भी रसीली है मगर
मेरी सजनी तिरा साजन भी ग़ज़ल जैसा है
मेरे जज़्बात की शोख़ी भी ग़ज़ल जैसी है
मेरे एहसास का बचपन भी ग़ज़ल जैसा है
देख कर तुझ को ग़ज़ल कैसे न लिक्खे 'क़ैसर'
तू ग़ज़ल जैसी है यौवन भी ग़ज़ल जैसा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi
our suggestion based on Qaisar Siddiqi
As you were reading Nazakat Shayari Shayari