vehshat mein nikal aaya hoon idraak se aage
ab dhoondh mujhe majma-e-ushshaq se aage
ik surkh samundar mein tira zikr bahut hai
ai shakhs guzar deeda-e-namunaak se aage
us paar se aata koi dekhoon to ye poochoon
aflaak se peeche hoon ki aflaak se aage
dam tod na de ab kahi khwaahish ki hawa bhi
ye khaak to udti nahin khaashaak se aage
jo naqsh ubhaare the mitaaye bhi hain us ne
darpaish phir ik chaak hai is chaak se aage
aaine ko toda hai to maaloom hua hai
guzra hoon kisi dasht-e-khatarnaak se aage
ham-zaad ki soorat hai mere yaar ki soorat
main kaise nikal saka hoon chaalaak se aage
वहशत में निकल आया हूँ इदराक से आगे
अब ढूँढ मुझे मजमा-ए-उश्शाक़ से आगे
इक सुर्ख़ समुंदर में तिरा ज़िक्र बहुत है
ऐ शख़्स गुज़र दीदा-ए-नमनाक से आगे
उस पार से आता कोई देखूँ तो ये पूछूँ
अफ़्लाक से पीछे हूँ कि अफ़्लाक से आगे
दम तोड़ न दे अब कहीं ख़्वाहिश की हवा भी
ये ख़ाक तो उड़ती नहीं ख़ाशाक से आगे
जो नक़्श उभारे थे मिटाए भी हैं उस ने
दरपेश फिर इक चाक है इस चाक से आगे
आईने को तोड़ा है तो मालूम हुआ है
गुज़रा हूँ किसी दश्त-ए-ख़तरनाक से आगे
हम-ज़ाद की सूरत है मिरे यार की सूरत
मैं कैसे निकल सकता हूँ चालाक से आगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Raza
our suggestion based on Rafi Raza
As you were reading Samundar Shayari Shayari