ab apni rooh ke chhaalon ka kuchh hisaab karoon
main chahta tha charaagon ko aftaab karoon
mujhe buton se ijaazat agar kabhi mil jaaye
to shahr-bhar ke khudaaon ko be-naqaab karoon
us aadmi ko bas ik dhun sawaar rahti hai
bahut haseen hai duniya ise kharab karoon
hai mere chaaron taraf bheed goonge behron ki
kise khateeb banaaun kise khitaab karoon
main karvaton ke naye zaa'iqe likhoon shab-bhar
ye ishq hai to kahaan zindagi azaab karoon
ye zindagi jo mujhe qarz-daar karti rahi
kahi akela mein mil jaaye to hisaab karoon
अब अपनी रूह के छालों का कुछ हिसाब करूँ
मैं चाहता था चराग़ों को आफ़्ताब करूँ
मुझे बुतों से इजाज़त अगर कभी मिल जाए
तो शहर-भर के ख़ुदाओं को बे-नक़ाब करूँ
उस आदमी को बस इक धुन सवार रहती है
बहुत हसीन है दुनिया इसे ख़राब करूँ
है मेरे चारों तरफ़ भीड़ गूँगे बहरों की
किसे ख़तीब बनाऊँ किसे ख़िताब करूँ
मैं करवटों के नए ज़ाइक़े लिखूँ शब-भर
ये इश्क़ है तो कहाँ ज़िंदगी अज़ाब करूँ
ये ज़िंदगी जो मुझे क़र्ज़-दार करती रही
कहीं अकेले में मिल जाए तो हिसाब करूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Alone Shayari Shayari