diye bujhe hain magar door tak ujaala hai
ye aap aaye hain ya din nikalne waala hai
khyaal mein bhi tera aqs dekhne ke baad
jo shakhs hosh ganwa de vo dosh waala hai
jawaab dene ke andaaz bhi niraale hain
salaam karne ka andaaz bhi niraala hai
sunhari dhoop hai sadqa tere tabassum ka
ye chaandni teri parchhaaien ka ujaala hai
hai tere pairo'n ki aahat zameen ki gardish
ye aasmaan teri angadaai ka hawala hai
दिए बुझे हैं मगर दूर तक उजाला है
ये आप आए हैं या दिन निकलने वाला है
ख़्याल में भी तेरा अक़्स देखने के बाद
जो शख़्स होश गंवा दे वो दोश वाला है
जवाब देने के अन्दाज़ भी निराले हैं
सलाम करने का अन्दाज़ भी निराला है
सुनहरी धूप है सदक़ा तेरे तबस्सुम का
ये चाँदनी तेरी परछाईं का उजाला है
है तेरे पैरों की आहट ज़मीन की गर्दिश
ये आसमां तेरी अंगड़ाई का हवाला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Dhoop Shayari Shayari