jaan is dil ki bachaane ke liye | जान इस दिल की बचाने के लिए

  - Saaieb S. M. Patil

jaan is dil ki bachaane ke liye
yaad aa bas yaad aane ke liye

bojh din ka putaliyon mein rah gaya
tanj raaton ke uthaane ke liye

dekhta hai jis nazar se ye mujhe
main wahi hoon is zamaane ke liye

sab yahi rah jaayega waqt-e-ajal
kuchh nahin khona hai paane ke liye

falsafa ho zindagi ka bas yahi
gham kamao to udaane ke liye

जान इस दिल की बचाने के लिए
याद आ बस याद आने के लिए

बोझ दिन का पुतलियों में रह गया
तंज़ रातों के उठाने के लिए

देखता है जिस नज़र से ये मुझे
मैं वही हूँ इस ज़माने के लिए

सब यही रह जाएगा वक़्त-ए-अजल
कुछ नहीं खोना है पाने के लिए

फ़ल्सफ़ा हो ज़िंदगी का बस यही
ग़म कमाओ तो उड़ाने के लिए

  - Saaieb S. M. Patil

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saaieb S. M. Patil

As you were reading Shayari by Saaieb S. M. Patil

Similar Writers

our suggestion based on Saaieb S. M. Patil

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari