baat kuchh bhi nahin gulon mein hai | बात कुछ भी नहीं गुलों में है

  - Saarthi Baidyanath

baat kuchh bhi nahin gulon mein hai
lutf jo hai vo khushbuon mein hai

tum rihaai ka intizaar karo
sukh abhi dukh ke changulon mein hai

phir gulaabi hai aasmaan ka mizaj
rang ulfat ka baarishon mein hai

main to manzil pe aa gaya lekin
chaap kadmon ki raaston mein hai

tujhse main dil ki ek baat kahoon
tu mere khaas doston mein hai

बात कुछ भी नहीं गुलों में है
लुत्फ़ जो है वो ख़ुश्बुओं में है

तुम रिहाई का इंतिज़ार करो
सुख अभी दुख के चंगुलों में है

फिर गुलाबी है आसमाँ का मिज़ाज
रंग उल्फ़त का बारिशों में है

मैं तो मंज़िल पे आ गया लेकिन
चाप कदमों की रास्तों में है

तुझसे मैं दिल की एक बात कहूँ
तू मेरे ख़ास दोस्तों में है

  - Saarthi Baidyanath

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saarthi Baidyanath

As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath

Similar Writers

our suggestion based on Saarthi Baidyanath

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari