dar-b-dar kisi jaanib roz chal raha hoon main
ik azeb soorat mein khud hi dhal raha hoon main
kaun jal gaya andar kaun mar gaya mujhmein
kiski maut par tanhaa roz jal raha hoon main
itna kehne par bhi jab badli hi nahin duniya
be-wajah hi khud ko phir kyun badal raha hoon main
khaak ho chuka hai dil chal rahi meri saansen
rafta rafta hi khud ke din nigal raha hoon main
zindagi bhala ab yah kis tarah basar hogi
aaj kal ghamon se bhi kab bahal raha hoon main
दर-ब-दर किसी जानिब रोज़ चल रहा हूँ मैं
इक अज़ीब सूरत में ख़ुद ही ढल रहा हूँ मैं
कौन जल गया अंदर कौन मर गया मुझमें
किसकी मौत पर तन्हा रोज़ जल रहा हूँ मैं
इतना कहने पर भी जब बदली ही नहीं दुनिया
बे-वजह ही ख़ुद को फिर क्यों बदल रहा हूँ मैं
ख़ाक हो चुका है दिल चल रही मिरी साँसें
रफ़्ता रफ़्ता ही ख़ुद के दिन निगल रहा हूँ मैं
ज़िंदगी भला अब यह किस तरह बसर होगी
आज कल ग़मों से भी कब बहल रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Dil Shayari Shayari