havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin
main muntazir hoon magar tera intizaar nahin
humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar
humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin
abhi na chhed mohabbat ke geet ai mutarib
abhi hayaat ka maahol khush-gawaar nahin
tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahad kya samjhoon
mujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahin
na jaane kitne gile is mein muztarib hain nadeem
vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin
gurez ka nahin qaail hayaat se lekin
jo sach kahoon ki mujhe maut naagawaar nahin
ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne
ki ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin
हवस-नसीब नज़र को कहीं क़रार नहीं
मैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतिज़ार नहीं
हमीं से रंग-ए-गुलिस्ताँ हमीं से रंग-ए-बहार
हमीं को नज़्म-ए-गुलिस्ताँ पे इख़्तियार नहीं
अभी न छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मुतरिब
अभी हयात का माहौल ख़ुश-गवार नहीं
तुम्हारे अहद-ए-वफ़ा को मैं अहद क्या समझूँ
मुझे ख़ुद अपनी मोहब्बत पे ए'तिबार नहीं
न जाने कितने गिले इस में मुज़्तरिब हैं नदीम
वो एक दिल जो किसी का गिला-गुज़ार नहीं
गुरेज़ का नहीं क़ाइल हयात से लेकिन
जो सच कहूँ कि मुझे मौत नागवार नहीं
ये किस मक़ाम पे पहुँचा दिया ज़माने ने
कि अब हयात पे तेरा भी इख़्तियार नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Dil Shayari Shayari