jab se bichhra hoon main tujhse mera haal achha hai
tere saaye se to duniya ka bawaal achha hai
kal jo phir maine savaalaat kiye sar se to
sar ne bola tha mujhe kal ki sawaal achha hai
ishq hai jisse vo hi shakhs hamein mil jaaye
kehne kii baat hai ye sirf khayaal achha hai
gaal par haath lagaane se hua tha maaloom
mere mehboob ka haathon se to gaal achha hai
kaash salmaan se holi ke hi din vo kah de
rang do mujhko tumhaara ye gulaal achha hai
जब से बिछड़ा हूँ मैं तुझसे मिरा हाल अच्छा है
तेरे साए से तो दुनिया का बवाल अच्छा है
कल जो फिर मैंने सवालात किए सर से तो
सर ने बोला था मुझे कल कि सवाल अच्छा है
इश्क़ है जिससे वो ही शख़्स हमें मिल जाए
कहने की बात है ये सिर्फ़ ख़याल अच्छा है
गाल पर हाथ लगाने से हुआ था मालूम
मेरे महबूब का हाथों से तो गाल अच्छा है
काश 'सलमान' से होली के ही दिन वो कह दे
रंग दो मुझको तुम्हारा ये गुलाल अच्छा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading Ulfat Shayari Shayari