aaiye to ik dafa is jhopdi mein | आइए तो इक दफ़ा इस झोपड़ी में

  - Sanskar 'Sanam'

aaiye to ik dafa is jhopdi mein
baithiye na chaand ki is raushni mein

vo nahin karti hai mujhse baat ab
kya maza aata hai usko be-dili mein

unka manzil tak bhi jaana vyarth hai
bhool jaate hain jo rasta waapsi mein

hain vo maare waqt ke ab dekh lo
saare maahir ik samay the jantri mein

ek ladka shayari karta tha jo
pis raha hai ab vo dekho naukri mein

hosh na rehta hai sunkar kya karein
krishna hai jaadu tumhaari baansuri mein

आइए तो इक दफ़ा इस झोपड़ी में
बैठिए ना चाँद की इस रौशनी में

वो नहीं करती है मुझसे बात अब
क्या मज़ा आता है उसको बे-दिली में

उनका मंज़िल तक भी जाना व्यर्थ है
भूल जाते हैं जो रस्ता वापसी में

हैं वो मारे वक़्त के अब देख लो
सारे माहिर इक समय थे जंतरी में

एक लड़का शायरी करता था जो
पिस रहा है अब वो देखो नौकरी में

होश न रहता है सुनकर क्या करें
कृष्ण है जादू तुम्हारी बाँसुरी में

  - Sanskar 'Sanam'

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sanskar 'Sanam'

As you were reading Shayari by Sanskar 'Sanam'

Similar Writers

our suggestion based on Sanskar 'Sanam'

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari