daftar-e-shaadi ka muntazim
vo chalaata hai daftar-e-shaadi
dost aisa bhi ik hamaara hai
fees leta hai dil milaane ki
aur isee kaam par guzaara hai
koi shaadi baghair mar jaaye
ye bhala kab use gawara hai
aqd-e-saani ki jin ko khwaahish ho
un ki ummeed ka sitaara hai
jin ko rishta kahi na milta ho
un ka ye aakhiri sahaara hai
sochta hoon ki hai vo khush-qismat
ya haqeeqat mein gham ka maara hai
an-ginat shaadiyaan kara daaliin
aur khud aaj tak kanwaara hai
"दफ़्तर-ए-शादी का मुन्तज़िम"
वो चलाता है दफ़्तर-ए-शादी
दोस्त ऐसा भी इक हमारा है
फ़ीस लेता है दिल मिलाने की
और इसी काम पर ''गुज़ारा'' है
कोई शादी बग़ैर मर जाए
ये भला कब उसे गवारा है
अक़्द-ए-सानी की जिन को ख़्वाहिश हो
उन की उम्मीद का सितारा है
जिन को रिश्ता कहीं न मिलता हो
उन का ये आख़िरी सहारा है
सोचता हूँ कि है वो ख़ुश-क़िस्मत
या हक़ीक़त में ग़म का मारा है
अन-गिनत शादियाँ करा डालीं
और ख़ुद आज तक कँवारा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid
our suggestion based on Sarfaraz Shahid
As you were reading Mehndi Shayari Shayari