modern heeren to zar-daaron ke haan rah jaayengi
aur ranjhaen ke labon par muraliyaan rah jaayengi
ho sake to tum bacha lo ab bhi desi nasl ko
warna peeche sirf shevar murghiyaan rah jaayengi
sunflower ho gaya hai ibn-e-aadam ki ghiza
ab chaman-zaaron mein goya sabziyaan rah jaayengi
chhoti qaumon par agar veto ka lath chalta raha
sirf u.n.o mein gunda-gardiyaan rah jaayengi
nek-seerat shauhron ko dekh kar huroon ke beech
khuld ke andar tadap kar beeviyaan rah jaayengi
zulmatein hongi tawaanai ke is bohraan mein
sirf aankhon mein chamakti bijliyaan rah jaayengi
murgh par fauran jhapat daawat mein warna b'ad mein
shorba aur gardanon ki haddiyaan rah jaayengi
ghar ke gul-daano mein shaahid phool honge kaaghazi
aur pardo par printed titliyan rah jaayengi
माडर्न हीरें तो ज़र-दारों के हाँ रह जाएँगी
और राँझाें के लबों पर मुरलियाँ रह जाएँगी
हो सके तो तुम बचा लो अब भी देसी नस्ल को
वर्ना पीछे सिर्फ़ ''शेवर'' मुर्ग़ियाँ रह जाएँगी
''सनफ़्लॉवर'' हो गया है इब्न-ए-आदम की ग़िज़ा
अब चमन-ज़ारों में गोया सब्ज़ियाँ रह जाएँगी
छोटी क़ौमों पर अगर ''वीटो'' का लठ चलता रहा
सिर्फ़ ''यू.एन.ओ'' में ग़ुंडा-गर्दीयाँ रह जाएँगी
नेक-सीरत शौहरों को देख कर हूरों के बीच
ख़ुल्द के अंदर तड़प कर बीवियाँ रह जाएँगी
ज़ुल्मतें होंगी तवानाई के इस बोहरान में
सिर्फ़ आँखों में चमकती बिजलियाँ रह जाएँगी
मुर्ग़ पर फ़ौरन झपट दावत में वर्ना ब'अद में
शोरबा और गर्दनों की हड्डियाँ रह जाएँगी
घर के गुल-दानों में 'शाहिद' फूल होंगे काग़ज़ी
और पर्दों पर ''प्रिंटेड'' तितलियाँ रह जाएँगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid
our suggestion based on Sarfaraz Shahid
As you were reading Nature Shayari Shayari