mujhse chahta hai jo tujhe haasil nahin hona
karke qatl khaabo ka mujhe qaatil nahin hona
mujhko raah apni ik banaani is zamaane mein
sabki hi tarah is bheed mein shaamil nahin hona
khud ko hausla de ye ki chalna chahta hai tu
phir pehle kadam ke baad kuchh mushkil nahin hona
kuchh to vaasta rakhna hai mujhko maut se bhi ab
sun ai zindagi mujhko tira qaail nahin hona
rahna door hi hamko padega ek dooje se
tu dariya nahin hona wa main saahil nahin hona
मुझसे चाहता है जो तुझे हासिल नहीं होना
करके क़त्ल ख़्वाबों का मुझे क़ातिल नहीं होना
मुझको राह अपनी इक बनानी इस ज़माने में
सबकी ही तरह इस भीड़ में शामिल नहीं होना
ख़ुद को हौसला दे ये कि चलना चाहता है तू
फिर पहले कदम के बाद कुछ मुश्किल नहीं होना
कुछ तो वास्ता रखना है मुझको मौत से भी अब
सुन ऐ ज़िन्दगी मुझको तिरा क़ाइल नहीं होना
रहना दूर ही हमको पड़ेगा एक दूजे से
तू दरिया नहीं होना व मैं साहिल नहीं होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarvjeet Singh
our suggestion based on Sarvjeet Singh
As you were reading Maut Shayari Shayari