roz do chaar log aate hai
uski aankhon ke geet gaate hain
main udaasi ka ek manzar hoon
mujhse milkar ye chain paate hain
raat baadal sitaare gam aansu
sab mera hausla badhaate hain
teri tasveer kuchh nahin kahti
bas tere hont muskuraate hain
kis ko boloon udaas lamhon mein
vo mujhe khoob yaad aate hain
ishq duniya kii aakhiri had hai
aur sab ismein doob jaate hain
ek pal bhi agar main hans loon to
log kitna mujhe rulaate hain
meri tanhaai dekhkar shehzaan
raaste qahqaha lagaate hain
रोज़ दो चार लोग आते है
उसकी आँखों के गीत गाते हैं
मैं उदासी का एक मंज़र हूँ
मुझसे मिलकर ये चैन पाते हैं
रात बादल सितारे गम आँसू
सब मेरा हौसला बढ़ाते हैं
तेरी तस्वीर कुछ नहीं कहती
बस तेरे होंठ मुस्कुराते हैं
किस को बोलूँ उदास लम्हों में
वो मुझे ख़ूब याद आते हैं
इश्क़ दुनिया की आख़िरी हद है
और सब इसमें डूब जाते हैं
एक पल भी अगर मैं हँस लूँ तो
लोग कितना मुझे रुलाते हैं
मेरी तन्हाई देखकर शहज़ान
रास्ते क़हक़हा लगाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahzan Khan Shahzan'
our suggestion based on Shahzan Khan Shahzan'
As you were reading Andhera Shayari Shayari