kahi na tha vo dariya jis ka saahil tha main | कहीं न था वो दरिया जिस का साहिल था मैं - Shariq Kaifi

kahi na tha vo dariya jis ka saahil tha main
aankh khuli to ik sehra ke muqaabil tha main

haasil kar ke tujh ko ab sharminda sa hoon
tha ik waqt ki sach-much tere qaabil tha main

kis ehsaas-e-jurm ki sab karte hain tavakko
ik kirdaar kiya tha jis mein qaateel tha main

kaun tha vo jis ne ye haal kiya hai mera
kis ko itni aasaani se haasil tha main

saari tavajjoh dushman par markooz thi meri
apni taraf se to bilkul hi ghaafil tha main

jin par main thoda sa bhi aasaan hua hoon
wahi bata sakte hain kitna mushkil tha main

neend nahin aati thi saazish ke dhadhke mein
faateh ho kar bhi kis darja buzdil tha main

ghar mein khud ko qaid to main ne aaj kiya hai
tab bhi tanhaa tha jab mehfil mehfil tha main

कहीं न था वो दरिया जिस का साहिल था मैं
आँख खुली तो इक सहरा के मुक़ाबिल था मैं

हासिल कर के तुझ को अब शर्मिंदा सा हूँ
था इक वक़्त कि सच-मुच तेरे क़ाबिल था मैं

किस एहसास-ए-जुर्म की सब करते हैं तवक़्क़ो'
इक किरदार किया था जिस में क़ातिल था मैं

कौन था वो जिस ने ये हाल किया है मेरा
किस को इतनी आसानी से हासिल था मैं

सारी तवज्जोह दुश्मन पर मरकूज़ थी मेरी
अपनी तरफ़ से तो बिल्कुल ही ग़ाफ़िल था मैं

जिन पर मैं थोड़ा सा भी आसान हुआ हूँ
वही बता सकते हैं कितना मुश्किल था मैं

नींद नहीं आती थी साज़िश के धड़के में
फ़ातेह हो कर भी किस दर्जा बुज़दिल था मैं

घर में ख़ुद को क़ैद तो मैं ने आज किया है
तब भी तन्हा था जब महफ़िल महफ़िल था मैं

- Shariq Kaifi
2 Likes

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari