khuda tune diya sab kuchh magar ehsaan baaki hai | ख़ुदा तूने दिया सब कुछ मगर एहसान बाक़ी है

  - Shivang Tiwari

khuda tune diya sab kuchh magar ehsaan baaki hai
zamaane mein alag apni abhi pehchaan baaki hai

sajaani hai abhi to geet ghazalon se bhari mehfil
sukhun ki duniya ka banna abhi sultaan baaki hai

kai qaabil khade hain saamne dil mein liye hasrat
magar do-chaar hone ko abhi maidaan baaki hai

main logon ki zabaan par bhi thehar jaaun ghazal bankar
guzarti zindagi ka bas yahi armaan baaki hai

abhi judna hai baaki rukn ki kadiyon ko aapas mein
abhi banna ghazal ki ik juda arkaan baaki hai

ख़ुदा तूने दिया सब कुछ मगर एहसान बाक़ी है
ज़माने में अलग अपनी अभी पहचान बाक़ी है

सजानी है अभी तो गीत, ग़ज़लों से भरी महफ़िल
सुख़न की दुनिया का बनना अभी सुल्तान बाक़ी है

कई क़ाबिल खड़े हैं सामने दिल में लिए हसरत
मगर दो-चार होने को अभी मैदान बाक़ी है

मैं लोगों की ज़बाँ पर भी ठहर जाऊँ ग़ज़ल बनकर
गुज़रती ज़िन्दगी का बस यही अरमान बाक़ी है

अभी जुड़ना है बाक़ी रुक्न की कड़ियों को आपस में
अभी बनना ग़ज़ल की इक जुदा अरकान बाक़ी है

  - Shivang Tiwari

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivang Tiwari

As you were reading Shayari by Shivang Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Shivang Tiwari

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari