aakhirsh door ho hi jaate hain | आख़िरश दूर हो ही जाते हैं

  - Sohil Barelvi

aakhirsh door ho hi jaate hain
mere dil ko jo log bhaate hain

laut kar may-kade se deewane
teri aankhon mein doob jaate hain

ham se vaada bhi ik nahin toota
log to taare tod laate hain

mujh se kamzor par sitam kar ke
log qismat ko aazmaate hain

mere hisse mein kuchh nahin sohil
mere hisse ka log khaate hain

roz dariya mein daal kar maachis
apne ghar ko miyaan bachaate hain

ham bhi raaton ko jaag kar sohil
meer ke sher gungunaate hain

आख़िरश दूर हो ही जाते हैं
मेरे दिल को जो लोग भाते हैं

लौट कर मय-कदे से दीवाने
तेरी आँखों में डूब जाते हैं

हम से वादा भी इक नहीं टूटा
लोग तो तारे तोड़ लाते हैं

मुझ से कमज़ोर पर सितम कर के
लोग क़िस्मत को आज़माते हैं

मेरे हिस्से में कुछ नहीं सोहिल
मेरे हिस्से का लोग खाते हैं

रोज़ दरिया में डाल कर माचिस
अपने घर को मियाँ बचाते हैं

हम भी रातों को जाग कर सोहिल
'मीर' के शेर गुनगुनाते हैं

  - Sohil Barelvi

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari