ek aurat pe ab agar rakhe
aadmi doosri nazar rakhe
mere jaane ke baad kya maaloom
tere pahluu mein kaun sar rakhe
tootna hi hai aakhirsh ik din
koii kitna bada jigar rakhe
itna beemaar tha ki doctor ne
haath rakhe to shart par rakhe
phir daraana agar dara paao
apne dil mein bhi koii dar rakhe
inki qeemat tujhe nahin maaloom
ye jo moti hain aankh par rakhe
koii gar ishq kii taraf jaaye
apne dil kii bhi kuchh khabar rakhe
एक औरत पे अब अगर रक्खे
आदमी दूसरी नज़र रक्खे
मेरे जाने के बाद क्या मालूम
तेरे पहलू में कौन सर रक्खे
टूटना ही है आख़िरश इक दिन
कोई कितना बड़ा जिगर रक्खे
इतना बीमार था कि डॉक्टर ने
हाथ रक्खे तो शर्त पर रक्खे
फिर डराना अगर डरा पाओ
अपने दिल में भी कोई डर रक्खे
इनकी क़ीमत तुझे नहीं मालूम
ये जो मोती हैं आँख पर रक्खे
कोई गर इश्क़ की तरफ़ जाए
अपने दिल की भी कुछ ख़बर रक्खे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari