apne dukh ko bhula diya main ne
tere dukh ko samajh liya main ne
sirf kamiyaan tujhe nazar aayein
chhod kya boloon kya kiya main ne
ye samandar bhi khaali kar doonga
ek qatra to pee liya main ne
apni haalat ka khud hoon zimmedaar
jo bhi achha laga kiya main ne
tha nahin dekhbhaal ko koii
zakhm aaraam se siya main ne
vo samay bhi mere naseeb mein tha
tha to mushkil magar jiya main ne
zehar tere liye banaya tha
tere haathon se pee liya main ne
अपने दुख को भुला दिया मैं ने
तेरे दुख को समझ लिया मैं ने
सिर्फ़ कमियाँ तुझे नज़र आईं
छोड़ क्या बोलूँ क्या किया मैं ने
ये समंदर भी ख़ाली कर दूँगा
एक क़तरा तो पी लिया मैं ने
अपनी हालत का ख़ुद हूँ ज़िम्मेदार
जो भी अच्छा लगा किया मैं ने
था नहीं देखभाल को कोई
ज़ख़्म आराम से सिया मैं ने
वो समय भी मिरे नसीब में था
था तो मुश्किल मगर जिया मैं ने
ज़हर तेरे लिए बनाया था
तेरे हाथों से पी लिया मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Samundar Shayari Shayari