aisi achhi soorat nikli paani ki
aankhen peeche chhoot gaeein sailaani ki
kairam ho shatranj ho ya phir ishq hi ho
khel koi ho ham ne be-imaani ki
qaid hui hain aankhen khwaab jazeera par
pa kar ek saza si kaale paani ki
deewaron par chaand sitaare raushan hain
bacchon ne dekho to kya shaitani ki
chaand ki goli raat ne kha hi li aakhir
pehle to shaitaan ne aana-kaani ki
jalte diye sa ik bosa rakh kar us ne
chamak badha di hai meri peshaani ki
main us ki aankhon ke peeche bhaaga tha
jab afwaah udri thi un mein paani ki
ऐसी अच्छी सूरत निकली पानी की
आँखें पीछे छूट गईं सैलानी की
कैरम हो शतरंज हो या फिर इश्क़ ही हो
खेल कोई हो हम ने बे-ईमानी की
क़ैद हुई हैं आँखें ख़्वाब जज़ीरे पर
पा कर एक सज़ा सी काले पानी की
दीवारों पर चाँद सितारे रौशन हैं
बच्चों ने देखो तो क्या शैतानी की
चाँद की गोली रात ने खा ही ली आख़िर
पहले तो शैतान ने आना-कानी की
जलते दिए सा इक बोसा रख कर उस ने
चमक बढ़ा दी है मेरी पेशानी की
मैं उस की आँखों के पीछे भागा था
जब अफ़्वाह उड़ी थी उन में पानी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading I love you Shayari Shayari