chaand zameen par kaise utar saka hai
kuchh to hai jo mujhe ye sochne par majboor karta hai
aur mujhse mujhko door karta hai
jaise har kisi ka teri baatein karna
jaise tu masala-e-rozgaar ho
aur phir koi kahe ki tu bhi ham insaano mein hai
bhala aise shakhs ka kise aitbaar ho
tera din me hona magar nazar na aana
baadlon yaani ghar mein rahna
aur shaam hote nikal padna
phir se apni raushni se duniya ko raushan karne ke liye
koi bataaye mujhe ye uske alaava kaun kar saka hai
magar chaand zameen par kaise utar saka hai
“चाँद ज़मीन पर कैसे उतर सकता है”
कुछ तो है जो मुझे ये सोचने पर मजबूर करता है
और मुझसे मुझको दूर करता है
जैसे हर किसी का तेरी बातें करना
जैसे तू मसअला-ए-रोज़गार हो
और फिर कोई कहे कि तू भी हम इंसानों में है
भला ऐसे शख़्स का किसे ऐतबार हो
तेरा दिन मे होना मगर नज़र न आना
बादलों यानी घर में रहना
और शाम होते निकल पड़ना
फिर से अपनी रौशनी से दुनिया को रौशन करने के लिए
कोई बताए मुझे ये उसके अलावा कौन कर सकता है
मगर, चाँद ज़मीन पर कैसे उतर सकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swarnim Aditya
our suggestion based on Swarnim Aditya
As you were reading Nigaah Shayari Shayari