raat ka sannaata ho aur raaz-daan koi na ho | रात का सन्नाटा हो और राज़-दाँ कोई न हो - T N Raaz

raat ka sannaata ho aur raaz-daan koi na ho
beeviyaan tanhaa hi ghoomen aur miyaan koi na ho

mamlakat ko fikr-e-taameer-e-makaan koi na ho
hon pade footpath pe sab aashiyaan koi na ho

hai yahi jee mein ki ham sab khaana-jangi mein maren
mulk pe mitne ki khaatir khaandaan koi na ho

aapaa-dhaapi ki fazaa ho jo bhi chahe loot le
raahbar naa-beena hon sab paasbaan koi na ho

aankh se dekha na jaaye aql par parda pade
vo kisi se bhi milen mujh ko gumaan koi na ho

jab hui ik ladki ighwa shaikh ne di bad-dua
is gali ka launda ya-rab ab jawaan koi na ho

chaakoo churiyaan haal mein laane ke ham qaail nahin
hai yahi kaafi ki bas ab imtihaan koi na ho

rishwaton ka khatm ho paaye na koi silsila
si bee aayi dhoondhti ho par nishaan koi na ho

bak gaya hai raaz kya kya doston ke darmiyaan
be-haya muhn-phat aur aisa bad-zabaan koi na ho

रात का सन्नाटा हो और राज़-दाँ कोई न हो
बीवियाँ तन्हा ही घूमें और मियाँ कोई न हो

मम्लिकत को फ़िक्र-ए-तामीर-ए-मकाँ कोई न हो
हों पड़े फ़ुटपाथ पे सब आशियाँ कोई न हो

है यही जी में कि हम सब ख़ाना-जंगी में मरें
मुल्क पे मिटने की ख़ातिर ख़ानदाँ कोई न हो

आपा-धापी की फ़ज़ा हो जो भी चाहे लूट ले
राहबर ना-बीना हों सब पासबाँ कोई न हो

आँख से देखा न जाए अक़्ल पर पर्दा पड़े
वो किसी से भी मिलें मुझ को गुमाँ कोई न हो

जब हुई इक लड़की इग़वा शैख़ ने दी बद-दुआ'
इस गली का लौंडा या-रब अब जवाँ कोई न हो

चाक़ू छुरियाँ हाल में लाने के हम क़ाइल नहीं
है यही काफ़ी कि बस अब इम्तिहाँ कोई न हो

रिश्वतों का ख़त्म हो पाए न कोई सिलसिला
सी बी आई ढूँढती हो पर निशाँ कोई न हो

बक गया है 'राज़' क्या क्या दोस्तों के दरमियाँ
बे-हया मुँह-फट और ऐसा बद-ज़बाँ कोई न हो

- T N Raaz
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by T N Raaz

As you were reading Shayari by T N Raaz

Similar Writers

our suggestion based on T N Raaz

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari