apne naai ka hunar yaad aaya
ham ne mundwaaya tha sar yaad aaya
rail mein le rahi thi kharraate
us ke hamraah safar yaad aaya
jis ko kha ke hue the ham beemaar
vo hi bheja vo jigar yaad aaya
raat kanya gale lagaaee thi
subh daaru ka asar yaad aaya
prem ke waqt gussa biwi ka
bhoolna chaaha magar yaad aaya
jab fasaadon ki koi aayi khabar
apna jalta hua ghar yaad aaya
raaz ne ki jo fikr ghalib ki
us ke sher'on ka asar yaad aaya
अपने नाई का हुनर याद आया
हम ने मुंडवाया था सर याद आया
रेल में ले रही थी ख़र्राटे
उस के हमराह सफ़र याद आया
जिस को खा के हुए थे हम बीमार
वो ही भेजा वो जिगर याद आया
रात कन्या गले लगाई थी
सुब्ह दारू का असर याद आया
प्रेम के वक़्त ग़ुस्सा बीवी का
भूलना चाहा मगर याद आया
जब फ़सादों की कोई आई ख़बर
अपना जलता हुआ घर याद आया
'राज़' ने की जो फ़िक्र 'ग़ालिब' की
उस के शे'रों का असर याद आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by T N Raaz
our suggestion based on T N Raaz
As you were reading Promise Shayari Shayari