chhatti baar jab main ne darwaaza khola
to ik cheekh mere badan ke masaamon se chimti
badan ke andheron mein utri
mera jism us cheekh ke tund panjo se jhulsi hui
be-karaan cheekh tha
main larzata hua kohna gumbad se nikla
aur cheekh mere badan se siyaah ghaas ki tarah nikli
badan ke karodon masaamon ke munh par
siyaah cheekh ka surkh jungle ugaa tha
koi cheekh ab bhi ubharti thi jis se
gumbad ke deewar-o-dar kaanpate the
koi shay dikhaai nahin de rahi thi
faqat ik dhuaan tha
jo gumbad ke sooraakh se apne paanv nikale
hawaon ke be-daagh seenon se chimta hua tha
saathviin baar phir main ne darwaaza khola
to mere lahu ki har ik boond mein
saathviin baar phir sarsarati hui cheekh guzri
main ne dekha ki gumbad mein mailee zameen par
naz'a ki haalat mein ik laash hai
jis ne ab saathviin baar mere badan mein
saathviin cheekh ka garm laava utaara
ye zawaal ki aakhiri sard cheekh'on ki ik cheekh thi
छटी बार जब मैं ने दरवाज़ा खोला
तो इक चीख़ मेरे बदन के मसामों से चिमटी
बदन के अँधेरों में उतरी
मिरा जिस्म उस चीख़ के तुंद पंजों से झुलसी हुई
बे-कराँ चीख़ था
मैं लरज़ता हुआ कोहना गुम्बद से निकला
और चीख़ मेरे बदन से सियाह घास की तरह निकली
बदन के करोड़ों मसामों के मुँह पर
सियाह चीख़ का सुर्ख़ जंगल उगा था
कोई चीख़ अब भी उभरती थी जिस से
गुम्बद के दीवार-ओ-दर काँपते थे
कोई शय दिखाई नहीं दे रही थी
फ़क़त इक धुआँ था
जो गुम्बद के सूराख़ से अपने पाँव निकाले
हवाओं के बे-दाग़ सीनों से चिमटा हुआ था
सातवीं बार फिर मैं ने दरवाज़ा खोला
तो मेरे लहू की हर इक बूँद में
सातवीं बार फिर सरसराती हुई चीख़ गुज़री
मैं ने देखा कि गुम्बद में मैली ज़मीं पर
नज़्अ' की हालत में इक लाश है
जिस ने अब सातवीं बार मेरे बदन में
सातवीं चीख़ का गर्म लावा उतारा
ये ज़वाल की आख़िरी सर्द चीख़ों की इक चीख़ थी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Nature Shayari Shayari