dard khaamosh raha tootti awaaz rahi
meri har shaam tiri yaad ki hamraaz rahi
shehar mein jab bhi chale thandi hawa ke jhonke
tapte sehra ki tabi'at badi na-saaz rahi
aaine toot gaye aks ki sacchaai par
aur sacchaai hamesha ki tarah raaz rahi
ik naye mod pe us ne bhi mujhe chhod diya
jis ki awaaz mein shaamil meri awaaz rahi
sunta rehta hoon buzurgon se main akshar taahir
vo sama'at hi rahi aur na vo awaaz rahi
दर्द ख़ामोश रहा टूटती आवाज़ रही
मेरी हर शाम तिरी याद की हमराज़ रही
शहर में जब भी चले ठंडी हवा के झोंके
तपते सहरा की तबीअ'त बड़ी ना-साज़ रही
आइने टूट गए अक्स की सच्चाई पर
और सच्चाई हमेशा की तरह राज़ रही
इक नए मोड़ पे उस ने भी मुझे छोड़ दिया
जिस की आवाज़ में शामिल मिरी आवाज़ रही
सुनता रहता हूँ बुज़ुर्गों से मैं अक्सर 'ताहिर'
वो समाअ'त ही रही और न वो आवाज़ रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Hawa Shayari Shayari