koi haseen manzar aankhon se jab ojhal ho jaayega | कोई हसीं मंज़र आँखों से जब ओझल हो जाएगा

  - Tahir Faraz

koi haseen manzar aankhon se jab ojhal ho jaayega
mujh ko paagal kehne waala khud hi paagal ho jaayega

palkon pe us ki jale bujhenge jugnoo jab meri yaadon ke
kamre mein hongi barsaatein ghar jungle ho jaayega

jis din us ki zulfen us ke shaanon par khul jaayengi
us din sharm se paani paani khud baadal ho jaayega

jab bhi vo paakizaa daaman aa jaayega haath mere
aankhon ka ye mela paani ganga-jal ho jaayega

us ki yaadein us ki baatein us ki wafaayein us ka pyaar
kis ko khabar thi jeena mushkil ek ik pal ho jaayega

mat ghabra ai pyaase dariya suraj aane waala hai
barf pahaadon se pighli to jal hi jal ho jaayega

कोई हसीं मंज़र आँखों से जब ओझल हो जाएगा
मुझ को पागल कहने वाला ख़ुद ही पागल हो जाएगा

पलकों पे उस की जले बुझेंगे जुगनू जब मिरी यादों के
कमरे में होंगी बरसातें घर जंगल हो जाएगा

जिस दिन उस की ज़ुल्फ़ें उस के शानों पर खुल जाएँगी
उस दिन शर्म से पानी पानी ख़ुद बादल हो जाएगा

जब भी वो पाकीज़ा दामन आ जाएगा हाथ मिरे
आँखों का ये मेला पानी गंगा-जल हो जाएगा

उस की यादें उस की बातें उस की वफ़ाएँ उस का प्यार
किस को ख़बर थी जीना मुश्किल एक इक पल हो जाएगा

मत घबरा ऐ प्यासे दरिया सूरज आने वाला है
बर्फ़ पहाड़ों से पिघली तो जल ही जल हो जाएगा

  - Tahir Faraz

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Faraz

As you were reading Shayari by Tahir Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Faraz

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari