faiz-maamoor fazaaon se lipt kar ro len
phir madine ki hawaon se lipt kar ro len
waqt-e-rukhsat dil-e-muztar ki tamannaa thi yahi
aap ke dar ke gadaaon se lipt kar ro len
abr chaaya hai hawaaein hain madine se hain door
jee tadpata hai ghataon se lipt kar ro len
hashr mein in ke sabab vo mutawajjah honge
kyun na ham apni khataaon se lipt kar ro len
ham se behtar hain ki un tak ye pahunch jaati hain
inhi khush-bakht duaon se lipt kar ro len
karbala hi ke tasavvur se ye aata hai khayal
dehr ki saari balaaon se lipt kar ro len
qadr-daan in ke hain jab vo shah-e-khoobaan-e-jahaan
tahniyat apni wafaon se lipt kar ro len
फ़ैज़-मामूर फ़ज़ाओं से लिपट कर रो लें
फिर मदीने की हवाओं से लिपट कर रो लें
वक़्त-ए-रुख़्सत दिल-ए-मुज़्तर की तमन्ना थी यही
आप के दर के गदाओं से लिपट कर रो लें
अब्र छाया है हवाएँ हैं मदीने से हैं दूर
जी तड़पता है घटाओं से लिपट कर रो लें
हश्र में इन के सबब वो मुतवज्जह होंगे
क्यूँ न हम अपनी ख़ताओं से लिपट कर रो लें
हम से बेहतर हैं कि उन तक ये पहुँच जाती हैं
इन्ही ख़ुश-बख़्त दुआओं से लिपट कर रो लें
कर्बला ही के तसव्वुर से ये आता है ख़याल
दहर की सारी बलाओं से लिपट कर रो लें
क़द्र-दाँ इन के हैं जब वो शह-ए-ख़ूबान-ए-जहाँ
'तहनियत' अपनी वफ़ाओं से लिपट कर रो लें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
our suggestion based on Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
As you were reading Khyaal Shayari Shayari