darmaandagon ki aankh se aansu jo dhal gaye | दरमांदगों की आँख से आँसू जो ढल गए

  - Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

darmaandagon ki aankh se aansu jo dhal gaye
chashme kisi ke lutf-o-karam ke ubal gaye

daali jo us ne ek uchatti hui nazar
khasta-dilaan-e-raah-e-mohabbat bahl gaye

ham aur baargaah-e-risaalat-panaah mein
maare khushi ke aankh se aansu nikal gaye

pahunchen jo ham dayaar-e-madeena mein sar ke bal
sab apne agle pichhle tasavvur badal gaye

phir ham the aur rauza-e-aqdas ki jaaliyaan
armaan kya bataaun ki kya kya machal gaye

qurb-e-huzoor dhone laga dil ke sab uyub
baatil tasavvuraat the jitne pighal gaye

naazaan hai tahniyat karam-e-kirdagaar par
bahke jo the naseeb vo aakhir sambhal gaye

दरमांदगों की आँख से आँसू जो ढल गए
चश्मे किसी के लुत्फ़-ओ-करम के उबल गए

डाली जो उस ने एक उचटती हुई नज़र
ख़स्ता-दिलान-ए-राह-ए-मोहब्बत बहल गए

हम और बारगाह-ए-रिसालत-पनाह में
मारे ख़ुशी के आँख से आँसू निकल गए

पहुँचे जो हम दयार-ए-मदीना में सर के बल
सब अपने अगले पिछले तसव्वुर बदल गए

फिर हम थे और रौज़ा-ए-अक़्दस की जालियाँ
अरमान क्या बताऊँ कि क्या क्या मचल गए

क़ुर्ब-ए-हुज़ूर धोने लगा दिल के सब उयूब
बातिल तसव्वुरात थे जितने पिघल गए

नाज़ाँ है 'तहनियत' करम-ए-किर्दगार पर
बहके जो थे नसीब वो आख़िर सँभल गए

  - Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

As you were reading Shayari by Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

Similar Writers

our suggestion based on Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari