chaman mein guzri ki sehra ke darmiyaan guzri
tumhaari yaad se khaali magar kahaan guzri
fasana umr-e-do-rozaa ka mukhtasar ye hai
haram se door jo guzri bahut garaan guzri
hayaat yun to guzar hi gai guzarni thi
tumhaare shauq mein lekin na raayegaan guzri
khula hai guncha-dil har ghareeb-o-be-kas ka
naseem koo-e-madeena jahaan jahaan guzri
use naseeb hui ne'mat-e-vila-e-nabi
jahaan se tahniyat is tarah shaadmaan guzri
चमन में गुज़री कि सहरा के दरमियाँ गुज़री
तुम्हारी याद से ख़ाली मगर कहाँ गुज़री
फ़साना उम्र-ए-दो-रोज़ा का मुख़्तसर ये है
हरम से दूर जो गुज़री बहुत गराँ गुज़री
हयात यूँ तो गुज़र ही गई गुज़रनी थी
तुम्हारे शौक़ में लेकिन न राएगाँ गुज़री
खुला है ग़ुंचा-दिल हर ग़रीब-ओ-बे-कस का
नसीम कू-ए-मदीना जहाँ जहाँ गुज़री
उसे नसीब हुई ने'मत-ए-विला-ए-नबी
जहाँ से 'तहनियत' इस तरह शादमाँ गुज़री
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
our suggestion based on Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
As you were reading Environment Shayari Shayari