aaine aankh mein chubhte the bistar se badan katraata tha | आईने आंख में चुभते थे बिस्तर से बदन कतराता था

  - Tehzeeb Hafi

aaine aankh mein chubhte the bistar se badan katraata tha
ek yaad basar karti thi mujhe mai saans nahin le paata tha

ek shakhs ke haath mein tha sab kuchh mera khilna bhi murjhaana bhi
rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha

mai rab se raabte mein rehta mumkin hai ki us se raabta ho
mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha

mujhe aaj bhi yaad hai bachpan mein kabhi us par nazar agar padti
mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha

ham ek zindaan mein jinda the ham ek janjeer mein badhe hue
ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha

vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhon se
mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha

आईने आंख में चुभते थे बिस्तर से बदन कतराता था
एक याद बसर करती थी मुझे मै सांस नहीं ले पाता था

एक शख्स के हाथ में था सब कुछ मेरा खिलना भी मुरझाना भी
रोता था तो रात उजड़ जाती हंसता था तो दिन बन जाता था

मै रब से राब्ते में रहता मुमकिन है की उस से राब्ता हो
मुझे हाथ उठाना पड़ते थे तब जाकर वो फोन उठाता था

मुझे आज भी याद है बचपन में कभी उस पर नजर अगर पड़ती
मेरे बस्ते से फूल बरसते थे मेरी तख्ती पे दिल बन जाता था

हम एक ज़िंदान में जिंदा थे हम एक जंजीर में बढ़े हुए
एक दूसरे को देख कर हम कभी हंसते थे तो रोना आता था

वो जिस्म नजरअंदाज नहीं हो पाता था इन आंखों से
मुजरिम ठहराता था अपना कहने को तो घर ठहराता था

  - Tehzeeb Hafi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari