jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf
uska kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf
maine ab tak jitne bhi logon mein khud ko baanta hai
bachpan se rakhta aaya hoon tera hissa ek taraf
ek taraf mujhe jaldi hai uske dil mein ghar karne ki
ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf
yun to aaj bhi tera dukh dil dahla deta hai lekin
tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf
uski aankhon ne mujhse meri khuddaari cheeni varna
paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf
meri marzi thi main zarre chunta ya lahren chunta
usne sehra ek taraf rakha aur dariya ek taraf
जब से उसने खींचा है खिड़की का पर्दा एक तरफ़
उसका कमरा एक तरफ़ है बाक़ी दुनिया एक तरफ़
मैंने अब तक जितने भी लोगों में ख़ुद को बाँटा है
बचपन से रखता आया हूँ तेरा हिस्सा एक तरफ़
एक तरफ़ मुझे जल्दी है उसके दिल में घर करने की
एक तरफ़ वो कर देता है रफ़्ता रफ़्ता एक तरफ़
यूँ तो आज भी तेरा दुख दिल दहला देता है लेकिन
तुझ से जुदा होने के बाद का पहला हफ़्ता एक तरफ़
उसकी आँखों ने मुझसे मेरी ख़ुद्दारी छीनी वरना
पाँव की ठोकर से कर देता था मैं दुनिया एक तरफ़
मेरी मर्ज़ी थी मैं ज़र्रे चुनता या लहरें चुनता
उसने सहरा एक तरफ़ रक्खा और दरिया एक तरफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Udas Shayari Shayari