khud par jab ishq ki vehshat ko musallat karunga
is kadar khaak udaaunga qayamat karunga
hijr ki raat meri jaan ko aayi hui hai
bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga
ab tere raaz sambhaale nahin jaate mujhse
main kisi roz amaanat mein khayaanat karunga
laylaatul qadar guzrenge kisi jungle mein
noor barsega darakhton ki imaamat karunga
ख़ुद पर जब इश्क़ की वहशत को मुसल्लत करूँगा
इस कदर ख़ाक उड़ाऊँगा कयामत करूँगा
हिज्र की रात मेरी जान को आई हुई है
बच गया तो मैं मोहब्बत की मज़म्मत करूँगा
अब तेरे राज़ सँभाले नहीं जाते मुझसे
मैं किसी रोज़ अमानत में ख़यानत करूँगा
लयलातुल क़दर गुज़रेंगे किसी जंगल में
नूर बरसेगा दरख़्तों की इमामत करूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Nature Shayari Shayari