tilism-e-yaar ye pahluu nikaal leta hai | तिलिस्म-ए-यार ये पहलू निकाल लेता है

  - Tehzeeb Hafi

tilism-e-yaar ye pahluu nikaal leta hai
ki pattharon se bhi khushboo nikaal leta hai

hai be-lihaaz kuchh aisa ki aankh lagte hi
vo sar ke neeche se baazu nikaal leta hai

koi gali tere mafroor-e-do-jahaan ki taraf
nahin nikalti magar tu nikaal leta hai

khuda bachaaye vo kazak shehar mein aaya
ho jeb khaali to aansu nikaal leta hai

agar kabhi use jungle mein shaam ho jaaye
to apni jeb se jugnoo nikaal leta hai

तिलिस्म-ए-यार ये पहलू निकाल लेता है
कि पत्थरों से भी ख़ुशबू निकाल लेता है

है बे-लिहाज़ कुछ ऐसा की आँख लगते ही
वो सर के नीचे से बाज़ू निकाल लेता है

कोई गली तेरे मफ़रूर-ए-दो-जहाँ की तरफ़
नहीं निकलती मगर तू निकाल लेता है

ख़ुदा बचाए वो कज़ाक शहर में आया
हो जेब खाली तो आँसू निकाल लेता है

अगर कभी उसे जंगल में शाम हो जाए
तो अपनी जेब से जुगनू निकाल लेता है

  - Tehzeeb Hafi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari